is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

apni chinta kam kaise karein?

apni chinta kam kaise karein?

 bahot zyada chinta karne se aapki sehat kharab ho sakti hai aur aapka tanav aur dukh badh sakta hai. isse aapki samasyayen aur badh jaayengi.

chinta kam karne ke liye sujhav

  •  buri khabrein zyada mat suniye. jab kahin kuch bura hota hai, to uske baare mein aapko har baat jaanne ki zaroorat nahin hai. buri khabron ke baare mein zyada jaankari lene se aapka dar aur aapki chinta badh jaayegi.

     bible ka siddhaant: “man ki udasi saari taakat choos leti hai.”—neetivachan 17:22.

     “agar hum t.v. ya internet par nayi-nayi dil-dehlanevali khabrein sunte rahein, to hamein iski aadat lag jaayegi. yah aadat bahot buri hai. jab main buri khabrein kam sunta hoon, to meri chinta bhi kam hoti hai.”​—john.

     zara sochiye: aapko nayi khabrein kitne-kitne din baad sunni chahiye?

  •  sabkuch samay par keejiye. subah uthne, khaana khaane, ghar ke kaam-kaaj karne aur raat ko sone ka ek samay tay keejiye aur har din usi samay par yah sab keejiye. sabkuch samay par karne se aapki zindagi aaram se guzregi aur aap zyada chinta nahin kareinge.

     bible ka siddhaant: “mehantee ki yojnayen zaroor safal hongi.”​—neetivachan 21:5.

     “jab covid-19 mahamari shuroo hui, to main har kaam mein dheela pad gaya. jab marzee tab karta tha. aur zyadatar samay manoranjan mein bitata tha. fir mainne socha ki yah theek nahin hai. mujhe apna samay is tarah barbad nahin karna hai. isliye mainne har kaam ke liye samay tay kiya ki mujhe har din kaun-saa kaam kab karna hai.”​—Joseph.

     zara sochiye: kya aapne bhi har kaam ke liye samay tay kiya hai? aisa karne se aapko din ke aakhir mein santushti milegi ki aapne bahot kuch kiya hai.

  •  zindagi ki achhi baaton ke baare mein sochiye. aapne pehle jo galtiyaan ki hain, unke baare mein sochkar pachhtate mat rahiye ki ‘kaash mainne aisa kiya hota, to achha hota.’ ya aage ke baare mein sochkar mat dariye ki ‘agar mere saath aisa ho gaya to?’ varna aapki chinta badhti jaayegi. nirash karnevali baaton par sochne ke bajay apni zindagi ki do-teen achhi baaton ke baare mein sochiye.

     bible ka siddhaant: “dikhao ki tum kitne ehsanmand ho.”​—kulussiyon 3:15.

     “jab main bible padhti hoon, to main apne dimag ko achhi baaton se bharti hoon. tab main achhi baaton ke baare mein soch paati hoon aur meri chinta kam hoti hai. shaayad koi kahe ki kya itni aasani se chinta kam ho sakti hai. zaroor ho sakti hai.”​—lisa.

     zara sochiye: aapki kya aadat hai? aapki zindagi mein jo bura ho raha hai, usi ke baare mein aap sochte rehte hain aur jo achha hua hai use bhool jaate hain?

  •  doosron ke baare mein sochiye. agar aap har vakt chinta mein doobe raheinge, to aapko kisi se milne ka man nahin karega. aisa karne ke bajay un logon ki madad keejiye jinhein sach mein madad ki zaroorat hai.

     bible ka siddhaant: “har ek sirf apne bhale ki fikra mein na rahe, balki doosre ke bhale ki bhi fikra kare.”​—filippiyon 2:4.

    “main doosron ke liye kuch-na-kuch karti rehti hoon, isliye khush rehti hoon. main unke liye kuch aisa karti hoon jisse unhein khushi mile. isse meri chintayen kam hoti hain. main doosron ki madad karne mein itna khoyi rehti hoon ki chinta karne ke liye samay hi nahin bachta.”​—maria.

     zara sochiye: aap jin logon ko jaante hain, unmein se kis-kis ko madad ki zaroorat hai? aur aap unke liye kya kar sakte hain?

  •  apni sehat ka khyal rakhiye. vyayam aur bharpoor aaram keejiye. achha khaana khaaiye. apni sehat ka khyal rakhne se aapka man bhi khush rahega aur aap zyada chinta nahin kareinge.

     bible ka siddhaant: ‘shareer ki kasrat kuch had tak faaydemand hoti hai.’​—1 timuthiyus 4:8.

     “main aur mera beta baahar jaakar vyayam karna to chahte hain, magar nahin jaa sakte. isliye hamne ghar ke andar hi vyayam karne ki aadat bana li hai. iska hum par achha asar hua hai. hum khush rehte hain aur ek-doosre ke saath achha bartav karte hain aur kheejh nahin uthte.”​—catherine.

     zara sochiye: kya aapko apne khaan-paan mein kuch badlav karne aur vyayam karne ki zaroorat hai taaki aapki sehat achhi rahe?

 ab tak bataye sujhavon ko maanne se kai logon ki chinta kam hui hai. aur jab unhonne bible se jaana ki aage chalkar insanon ko ek achhi zindagi milnevali hai, to unhein aur bhi himmat mili. “parmeshvar ka raaj kya karega?” naam ka lekh padhiye.