is jaankari ko chhod dein

pavitra shastra mahamari ke baare mein kya batata hai?

pavitra shastra mahamari ke baare mein kya batata hai?

shastra se javab

shastra mein pehle se bataya gaya hai ki aakhiri dinon mein mahamariyaan faileingi. (luka 21:11) lekin kya ye mahamariyaan ishvar ki taraf se hain? kuch log sochte hain ki ishvar saza dene ke liye logon ko beemari se tadpata hai. lekin aisa bilkul bhi nahin hai! sach to yah hai ki bahot jald ishvar apne raaj ke zariye sabhi beemariyaan aur mahamariyaan jad se khatm kar dega.

 kya bible mein mahamariyon ke baare mein pehle se bataya gaya hai?

bible kisi khaas mahamari ya beemari ka naam nahin batati, jaise covid-19, aids, ya fir spanish flu. lekin yah zaroor batati hai ki “mahamariyaan” aur “jaanleva beemariyaan faileingi.” (luka 21:11; prakashitvakya 6:8) jab ye ghatnayen hongi to woh vakt “aakhiri dinon” ya “duniya ki vyavastha ke aakhiri vakt ki” nishani hogi.—2 timuthiyus 3:1; matti 24:3.

 kya parmeshvar ne beemar karke kisi ko saza di hai?

bible batati hai ki parmeshvar ne kuch maukon par logon ko beemar karke saza di. misal ke liye kuch logon ko kodh ki beemari ho gayi. (ginti 12:1-16; 2 raja 5:20-27; 2 itihas 26:16-21) in maukon par parmeshvar ne maasoom aur bekasoor logon ko kuch nahin kiya. usne sirf un logon ko saza di, jinhonne uske khilaf kaam kiye the. is tarah parmeshvar ne unka nyay kiya.

 kya aaj faili mahamariyaan parmeshvar ki taraf se saza hain?

nahin. kuch log daava karte hain ki aaj bhi parmeshvar mahamari ya doosri beemariyon se logon ko saza deta hai. lekin bible mein aisa kuch nahin bataya gaya hai. kyon?

dekha jaaye, to purane zamane mein bhi aur aaj bhi parmeshvar ke log beemar hote hain. jaise, parmeshvar ka ek vafadar sevak timuthiyus ‘baar-baar beemar’ hua. (1 timuthiyus 5:23) lekin bible yah nahin batati ki parmeshvar usse naaraz tha, isliye woh beemar hua. usi tarah aaj parmeshvar ke vafadar sevak bhi beemar hote hain ya kuch ko jaanleva beemari ho jaati hai. aisa aksar isliye hota hai, kyonki log galat samay par galat jagah hote hain.—sabhopdeshak 9:11

bible sikhati hai ki ab tak woh din nahin aaya hai jab parmeshvar dushton ko saza dega. balki aaj hum “uddhaar ke din” mein ji rahe hain. iska matlab hai parmeshvar aaj sabhi logon ko ek pyar-bhara nyauta de raha hai. woh chahta hai ki log uske baare mein jaanein taaki woh apni jaan bacha sakein. (2 kurinthiyon 6:2) woh kaise yah nyauta de raha hai? prachar kaam ke zariye. aaj parmeshvar ke ‘raaj ki khushkhabri’ ka sandesh poori duniya mein sunaya jaa raha hai.​—matti 24:14

 kya ye mahamariyaan kabhi khatm hongi?

haan, zaroor. bible batati hai ki woh samay bahot kareeb hai jab koi beemar nahin hoga. jab parmeshvar ka raaj is dharti par shaasan karega, tab sehat se judi saari samasyayen khatm ho jaayengi. (yashayah 33:24; 35:5, 6) uske raaj mein na maut rahegi, na dard, na hi koi takleef! (prakashitvakya 21:4) yahaan tak ki jinki maut ho chuki hai, unhein zinda kiya jaayega. is dharti par sabhi logon ki sehat achhi hogi aur woh khush raheinge.—bhajan 37:29; preshiton 24:15.

 beemariyon ke baare mein bible ke havale

matti 4:23: ‘yeeshu poore galeel ka daura karta hua, unke sabha-gharon mein sikhata aur raaj ki khushkhabri ka prachar karta raha. woh logon ki har tarah ki beemari aur shareer ki kamzori door karta raha.’

matlab: yeeshu ne dharti par rehte vakt jo chamatkar kiye woh bas ek jhalak thi. isse pata chalta hai ki bahot jald woh apne raaj mein sabhi insanon ke liye kya karega.

luka 21:11: “mahamariyaan faileingi.”

matlab: aakhiri dinon ki nishaniyon mein yah bhi shaamil hai ki poori duniya mein mahamariyaan faileingi.

prakashitvakya 6:8: ‘dekho, ek halke peele rang ka ghoda aur uske savaar ka naam tha maut. aur kabra uske bilkul peechhe-peechhe chali aa rahi thi. aur unhein adhikar diya gaya ki woh jaanleva mahamari se logon ko maar daalein.’

matlab: bible ki prakashitvakya ki kitab mein chaar ghudsavaron ke baare mein bhavishyavani di gayi hai. yah bhavishyavani darshati hai ki hamare samay mein mahamariyaan faileingi.