is jaankari ko chhod dein

kya hamare marne ka samay pehle se tay hota hai?

kya hamare marne ka samay pehle se tay hota hai?

shastra se javab

nahin, hamare marne ka samay pehle se tay nahin hota hai. bible takdeer ya bhaagya ki shiksha ko badhava nahin deti, balki woh batati hai ki maut aksar “sanyog” ki vajah se hoti hai.—sabhopdeshak 9:11.

kya bible nahin batati ki ‘marne ka bhi samay’ hai?

ji haan, sabhopdeshak 3:2 mein likha hai ki “janm ka samay, aur maran ka bhi samay; bone ka samay, aur boye huye ko ukhaadne ka bhi samay hai.” magar, aas-paas ki aayton ki jaanch karne par pata chalta hai ki is aayat mein bible hum sabki zindagi mein baar-baar honevali aam baaton ke baare mein zikra kar rahi hai. (sabhopdeshak 3:1-8) jis tarah beej bone ka ek mausam hota hai, lekin parmeshvar ne beej bone ke liye koi khaas din nahin tay kiya hai, usi tarah parmeshvar ne hamare marne ka bhi koi samay tay nahin kiya hai. is aayat ka matlab yah hai ki hamein apni zindagi ko rozmarra ke kaamon mein is kadar nahin laga dena chahiye ki hum parmeshvar ko bhool hi jaayen.—sabhopdeshak 3:11; 12:1, 13.

hamari zindagi lambee ho sakti hai

hamare saath kisi bhi vakt kuch bhi ho sakta hai, iske baavjood bhi hamari zindagi lambee ho sakti hai agar hum soch-samajhkar faisle lein. bible mein likha hai: “buddhiman ki shiksha jeevan ka sota hai, aur uske dvara log mrityu ke fandon se bach sakte hain.” (neetivachan 13:14) usi tarah moosa ne israeliyon se kaha ki agar woh parmeshvar ki aagyaon ko maaneinge to woh ‘bahot din tak bane raheinge.’ (vyavasthavivran 6:2) lekin, agar hum laaparvah hokar bevkoofi-bhare ya bure kaamon mein lage rahein, to hamari zindagi chhoti ho sakti hai.—sabhopdeshak 7:17.

hum kitne hi buddhiman ya saavdhan kyon na hon, maut se nahin bach sakte. (romiyon 5:12) lekin haalaat badleinge, kyonki bible vaada karti hai ki ek aisa samay aayega jab ‘maut na rahegi’.—prakashitvakya 21:4.