is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

kya aatankvad kabhi khatm hoga?

kya aatankvad kabhi khatm hoga?

 jab kabhi koi aatanki hamla hota hai, to aksar hamare man mein is tarah ke saval aate hain: ‘kya ishvar ko is sab se koi fark padta hai? log aisa kyon karte hain? kya aatankvad * kabhi khatm hoga? main apne dar par kaaboo kaise paaun?’ pavitra shastra bible se aap in savalon ke javab jaan sakte hain.

jab koi aatankvadi hamla hota hai, to ishvar ko kaisa lagta hai?

 ishvar hinsa aur aatankvad se nafrat karta hai. (bhajan 11:5; neetivachan 6:16, 17) ishvar ke bete yeeshu ko bhi isse sakht nafrat hai. ek baar yeeshu ke ek shishya ne kisi par talvar se hamla kar diya, tab yeeshu ne use daanta. (matti 26:50-52) agar aatankvadiyon ki baat karein, to unmein se kai kehte hain ki woh jo bhi karte hain apne ishvar ko khush karne ke liye karte hain. lekin ishvar ne kisi ko kisi ki jaan lene ka hak nahin diya hai. woh to aise logon ki prarthnayen tak nahin sunta.—yashayah 1:15.

 bible mein bataya gaya hai ki jab ishvar insanon ko takaleef mein dekhta hai, to use bahot dukh hota hai. agar aap kisi aatanki hamle ke shikar huye hain ya aisi khabrein sunkar pareshan hain, to woh achhi tarah jaanta hai ki aap par kya beet rahi hai. (bhajan 31:7; 1 patras 5:7) usne vaada kiya hai ki woh hinsa ko hamesha-hamesha ke liye mita dega.—yashayah 60:18.

aatankvad ki jad

 bible mein likha hai, “insan, insan par hukm chalakar sirf takaleefein laaya hai.” (sabhopdeshak 8:9) dekha jaaye to yahi vajah hai ki aaj duniya mein aatankvad itna badhta jaa raha hai. hamesha se hi aisa hota aaya hai ki jinka samaaj mein bahot dabdaba hota hai, woh doosronko darate-dhamkate hain, un par zulm karte hain aur unhein dabane ki koshish karte hain. aur jinke saath aisa sulook kiya jaata hai, woh anyay ke khilaf aavaz uthane ke liye aatankvad par utar aate hain.—sabhopdeshak 7:7.

aatankvad ho jaayega khatm!

 ishvar ne vaada kiya hai ki bahot jald sabkuch theek ho jaayega. tab koi kisi se darega nahin, koi hinsa nahin hogi aur har kahin shaanti hogi. (yashayah 32:18; mika 4:3, 4) ishvar yah kaise karega?

  •   woh aatankvad ko jad se mita dega. bahot jald ishvar insanon ki sarkaron ko hatakar apni sarkar laayega aur us vakt poori dharti par uska raaj hoga. usne apne bete yeeshu ko apne raaj ka raja chuna hai. uske raaj mein kisi tarah ki unch-neech nahin hogi, har kisi ke saath ek-jaisa vyavhar kiya jaayega. fir koi kisi par zulm nahin karega aur koi hinsa nahin hogi. (bhajan 72:2, 14) aatankvad ka bhi naamo-nishan mita diya jaayega. us samay log “badi shaanti ke kaaran apar khushi paayenge.”—bhajan 37:10, 11.

  •   aatankvad ki vajah se logon ko jo nuksan hua hai, woh uski bharpai karega. aatanki hamlon ki vajah se laakhon log ghaayal huye hain, kuch logon ka sabkuch tabah-barbad ho gaya hai aur kuch ki to jaan tak chali gayi hai. jab aisa kuch hota hai, to log use bhula nahin paate aur dar-darkar jeete hain. lekin ishvar apne raaj mein yah sab theek kar dega. (yashayah 65:17; prakashitvakya 21:3, 4) usne yah bhi vaada kiya hai ki woh un logon ko dobara zinda kar dega, jinki maut ho gayi hai.—yuhanna 5:28, 29.

 bible mein likhi in baaton se hamein yakeen ho jaata hai ki ishvar bahot jald sabkuch theek kar dega. lekin shaayad aap sochein, ‘usne ab tak kuch kyon nahin kiya?’ is saval ka javab jaanne ke liye yah video dekhein: parmeshvar ne dukh-takaleefein kyon rehne di hain?

^ “aatankvad” ka matlab hai, logon mein khauf paida karne ke liye un par hamla karna ya aisa karne ki dhamki dena. aatankvadi aksar dharm ke naam par aise hamle karte hain ya kisi raajnaitik masle mein apni manvane ke liye ya fir samaj mein koi badlav laane ke irade se aisa karte hain. lekin kisi hamle ko aatanki hamla kaha jaa sakta hai ya nahin, is baare mein logon ki alag-alag raay hoti hai.