is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi kuch filmon, kitabon aur gaanon par rok lagate hain?

kya yahova ke sakshi kuch filmon, kitabon aur gaanon par rok lagate hain?

nahin. aisa nahin hai, hamara sanghathan koi aisi soochi ya list nahin banata jismein un filmon, kitabon aur geeton ka naam ho jinhein dekhne par paabandi lagayi jaaye. aisa hum kyon nahin karte?

bible is baat ka badhava deti hai ki hum apni “sochne samajhne ki shakti” ka istemal karein aur hum khud sahi faisle karna seekhein.​—ibraniyon 5:14.

jab bhi manoranjan chunne ki baat aati hai, tab hamein parakhne ki zaroorat hoti hai ki woh hamare liye sahi hai ya galat. iske liye bible mein paaye jaanevale siddhaant hamari madad karte hain. * hamari koshish yahi rehti hai, ki hum jo bhi karein woh ‘prabhu ko bhaaye.’​—ifisiyon 5:10.

agar kisi tarah ke manoranjan par rok lagane ki baat aati bhi hai, to bible aisa karne ka hak parivar mein pita ya pati ko hi deti hai. (1 kurinthiyon 11:3; ifisiyon 6:1-4) iske alava baaharvale ya mandli ke kisi bhaai ya behen ko is maamle mein dakhalandazee karne ka koi hak nahin hai.​—galatiyon 6:5.

^ para. 3 udahran ke liye bible mein aise niyam aur siddhaant paaye jaate hain, jo bhoot-vidya, laingik anaitikta ya hinsa ke sakht khilaf hain.​—vyavasthavivran 18:10-13; ifisiyon 5:3; kulussiyon 3:8.