is jaankari ko chhod dein

kya yahova ke sakshi ek panth hain?

kya yahova ke sakshi ek panth hain?

nahin, yahova ke sakshi ek panth nahin hain. hum maseehi hain jo yeeshu ke udahran aur uski the gayi shikshaon par kareeb se chalne ki poori-poori koshish karte hain.

panth kya hota hai?

shabd “panth” ka matlab harek ke liye alag-alag ho sakta hai. aaiye hum do muddon par gaur karein aur dekhein ki kyon log yahova ke sakshiyon ko panth kehte hain aur hum unki baaton se kyon sahmat nahin hain:

  • pehla: kuch log maante hain ki hamne ek naya dharm shuroo kiya hai, jo maseehi paramparaon ko nahin maanta. yahova ke sakshiyon ne kisi naye dharm ki shurooat nahin ki hai. iske bajay yahova ke sakshi jis tarah upasna karte hain woh pehli sadi ke maseehiyon ki upasna ke tareekon ke mutabik hai. unki shikshayen aur upasna ke tareeke bible mein darz hain. (2 timuthiyus 3:16, 17) hum maante hain ki maseehi paramparayen bible par aadharit honi chahiye naa ki insani vicharon par.

  • doosra: kuch log maante hain ki panth ek khatarnak giroh hota hai, jo kisi guroo ke peechhe ho leta hai. yahova ke sakshi kisi insan ko nahin balki yeeshu ko apna guroo maante hain, kyonki woh sirf uski kahi baaton par chalte hain. yeeshu ne apne shishyon se kaha tha: “tumhara ek hi neta ya aguva hai, maseeh.”—matti 23:10.

yahova ke sakshiyon ka dharm koi khatarnak panth nahin hai. iske bajay unka dharm to samaj aur logon ke liye bahot faaydemand saabit hua hai. udahran ke liye, hamari seva se bahot-se logon ko drugs aur cigarette-tabacco jaisi khatarnak laton se chhutkara mila hai. iske alava woh kai deshon mein logon ko padhna-likhna bhi sikhate hain. aur jab koi kudartee aafat aati hai tab hum raahat kaam mein bhi badh-chadhkar hissa lete hain. yeeshu ki aagya ke mutabik hamari koshish yahi rehti hai ki hum doosron ki madad karein taaki woh aur achhi zindagi ji sakein.—matti 5:13-16.