is jaankari ko chhod dein

apni baaton ko saabit karne ke liye, kya yahova ke sakshiyon ne bible mein ferbadal ki hai?

apni baaton ko saabit karne ke liye, kya yahova ke sakshiyon ne bible mein ferbadal ki hai?

nahin hamne aisa nahin kiya hai. iske bilkul ulat, jab hamne dekha ki hamare vishvas bible se mel nahin khaate to hamne apne vishvas, bible ke mutabik badal daale.

angrezee ki new world translation of the holy scriptures ki chhapai to sirf san 1950 mein hui. lekin iske chhapne se saalon pehle hamne doosri maujooda biblon ka gehra adhyan shuroo kar diya tha. hamne unse hi khojbeen karke apne vicharon ko unke mutabik dhaala. yahova ke sakshi saalon se jin baaton par vishvas karte aaye hain unke kuch udahranon par gaur keejiye aur fir khud tay keejiye ki kya hamara vishvas bible se mel khaata hai ya nahin.

  1. hamara vishvas hai: parmeshvar triyek nahin hai. new world translation of the holy scriptures se kai saal pehle zions watch tower patrika ne to san 1882 mein hi likha tha: “hamare paathak is baat ko maante hain ki yahova, yeeshu aur pavitra shakti asal mein hain. yah shiksha bible ke bilkul khilaf hai ki ye teenon ishvar hain aur teenon ek hi hain. jaise kuch log maante hain ki parmeshvar triyek hai.”

    bible sikhati hai: “yahova hamara parmeshvar hai, yahova ek hi hai.” (vyavasthavivran 6:4) “hamare nikat to ek hi parmeshvar hai: arthat pita jis ki or se sab vastuean hain, aur hum usi ke liye hain, aur ek hi prabhu hai, arthat yeeshu maseeh jis ke dvara sab vastuean hui, aur hum bhi usi ke dvara hain.” (1 kurinthiyon 8:6, the holy bible hindi - o. v.) yeeshu ne khud kaha: “pita mujh se bada hai.”—yuhanna 14:28.

  2. hamara vishvas hai: narak ki aag mein kisi ko hamesha ke liye nahin tadpaya jaata. san 1882 mein chhapi zions watch tower ke june ank ka vishay tha “paap ki mazdoori maut hai.” is vishay ko king james version bible ke romiyon 6:23 se liya gaya tha. is watch tower ne kaha: “bible ki yah baat ekdam saaf aur samajhne mein aasan hai. kitni ajeeb-si baat hai ki jin logon ke paas bible hai aur jo yah daava karte hain ki yah parmeshvar ka vachan hai, woh hi iski itni seedhi-si baat nahin samajh paate, aur oopar se kehte hain ki woh bible ki baaton ko maante hain. aur kehte hain ki bible sikhati hai: paap ki mazdoori hai, hamesha-hamesha ke liye narak ki aag mein tadapna.”

    bible sikhati hai: “jo prani paap kare vahi mar jaayega.” (yahejkel 18:4, 20) jo parmeshvar ka virodh karte hain unki saza hamesha-hamesha ke liye narak ki aag mein tadapna nahin hai. iske bajay bible ke mutabik unka “anant vinash” ho jaayega.—2 thisslunikiyon 1:9, the holy bible hindi - o. v.

  3. hamara vishvas hai: parmeshvar ka raaj ek asal sarkar hai: parmeshvar ke raaj ke baare mein san 1881 ki zions watch tower ka ank kehta hai: “is raaj ke sthapit hone par zaroori hoga ki duniya ke saare raajyon ko tahas-nahas kar diya jaaye.”

    bible kehti hai: “un raajaon ke dinon mein swarg ka parmeshvar ek aisa raaj uday karega jo kabhi khatm nahin hoga, aur na woh doosre insanon ke haathon mein diya jaayega balki woh un raajyon ke tukde-tukde kar dega aur hamesha tak kaayam rahega.”—daaniyel 2:44, the holy bible hindi - o. v.

agar yahova ke sakshiyon ke paas nayi duniya anuvad naa ho, kya tab bhi woh apne vishvas ko saabit kar sakte hain?

beshak. hum ab bhi prachar mein alag-alag bible anuvadon ka istemal karte hain. agar koi insan jo hamse bible seekh raha hai, apna khud ka koi aur bible anuvad istemal karna chahe, to hamein ismein koi etraz nahin.