is jaankari ko chhod dein

kya bible mein parmeshvar ke vichar likhe hain?

kya bible mein parmeshvar ke vichar likhe hain?

shastra se javab

kai bible lekhakon ne kaha ki parmeshvar unhein batata tha ki unhein kya likhna hai. in misalon par gaur keejiye:

  • raja daavid: “yahova ki pavitra shakti ne mere zariye baat ki. uska vachan meri zabaan par tha.“​—2 shamooel 23:1, 2.

  • bhavishyavakta yashayah: “saare jahan ka maalik aur senaon ka parmeshvar yahova kehta hai.“​—yashayah 22:15.

  • preshit yuhanna: “ye woh baatein hain jo yeeshu maseeh ne prakat kin, jo use parmeshvar ne . . . di.“​—prakashitvakya 1:1.