is jaankari ko chhod dein

kya parmeshvar ka koi naam hai?

kya parmeshvar ka koi naam hai?

shastra se javab

sabhi insanon ka apna ek naam hota hai. to kya yah bhi sochnevali baat nahin ki parmeshvar ka bhi ek naam hoga? insanon ke beech dosti mein har kisi ka naam hona aur us naam ko lena zaroori hota hai. to kya yah baat parmeshvar ke saath hamari dosti ke baare mein sach nahin hai?

parmeshvar ne kaha, “main yahova hoon, mera naam yahi hai.” (yashayah 42:8) parmeshvar ki bahot-si upadhiyaan bhi hain, jaise, “sarvashaktiman ishvar,” ‘saare jahan ka maharaja aur maalik’ aur “sirjanhar.” lekin fir bhi woh apne upasakon se kehta hai ki woh use uske naam se pukarein aur is tarah woh apne upasakon ko aadar deta hai.—utpatti 17:1; preshiton 4:24; 1 patras 4:19.

bible ke bahot-se anuvadon mein parmeshvar ka naam nirgaman 6:3 mein aaya hai. vahaan likha hai, “main sarvashaktiman ishvar ke naam se abraham, ishak, aur yaakoob ko darshan deta tha, parantu yahova ke naam se main un par pragat na hua.”

hindi mein parmeshvar ka naam yahova hai aur yah naam sadiyon se liya jaa raha hai. lekin bahot-se vidvan ise “yahweh” karke istemal karna pasand karte hain. yahova naam poori duniya mein sabse zyada jaana-maana naam hai. bible ka pehla bhaag angrezee mein nahin balki ibrani mein likha gaya tha. ibrani bhasha ko daayen se baayen padha jaata hai. parmeshvar ka naam ibrani bhasha mein in aksharon se likha gaya tha, יהוה (y-h-w-h). in chaar aksharon ko angrezee mein tetragrammaton kaha jaata hai.