is jaankari ko chhod dein

kya hamein santon se prarthna karni chahiye?

kya hamein santon se prarthna karni chahiye?

shastra se javab

nahin. bible mein likha hai ki hamein sirf parmeshvar se prarthna karni chahiye, lekin yeeshu ke naam se. yeeshu ne apne shishyon se kaha tha, “tum is reeti se prarthna kiya karo: ‘hey hamare pita, tu jo swarg mein hai; tera naam pavitra maana jaaye.’” (matti 6:9, hindi—o.v.) yeeshu ne kabhi apne shishyon se yah nahin kaha ki woh santon se, swargdooton se ya parmeshvar ke alava kisi aur se prarthna karein.

yeeshu ne apne shishyon se yah bhi kaha tha, “maarg aur sachchai aur jeevan main hi hoon; bina mere dvara koi pita ke paas nahin pahunch sakta.” (yuhanna 14:6, hindi—o.vi.) parmeshvar ne yeeshu ko hi yah adhikar diya hai ki woh hamari khaatir binti kare.​—ibraniyon 7:25.

kya hum parmeshvar ke saath-saath santon se bhi prarthna kar sakte hain?

parmeshvar ne jab das aagyayen di thi, to yah bhi kaha tha, “main tera parmeshvar yahova jalan rakhne vaala ishvar hoon.” (nirgaman 20:5, hindi—o.vi.) iska kya matlab hai? nayi duniya anuvad bible mein is aayat ka yoon anuvad kiya gaya hai: “main tumhara parmeshvar yahova maang karta hoon ki sirf meri bhakti ki jaaye, mujhe chhod kisi aur ki nahin.” iska matlab hai ki parmeshvar chahta hai ki hum sirf aur sirf uski upasna karein aur usi se prarthna karein.​—yashayah 48:11.

parmeshvar ko bahot bura lagta hai jab hum santon se, swargdooton se ya kisi aur se prarthna karte hain. ek baar preshit yuhanna ek swargdoot ke saamne gir pada aur uski upasna karne hi vaala tha ki tabhi swargdoot ne use roka aur kaha, “nahin, nahin, aisa mat kar! main to sirf tere aur tere bhaaiyon ki tarah ek daas hoon, jinhein yeeshu ki gavahi dene ka kaam mila hai. parmeshvar ki upasna kar.”​—prakashitvakya 19:10.