is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

khel-kood ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?

khel-kood ke baare mein mujhe kya pata hona chahiye?

khel-kood aapke liye ya to achha ho sakta hai ya bura. yah is baat se tay hota hai ki aap kya khelte hain, kis tarah khelte hain aur kitna khelte hain.

 iske kya faayde hain?

khel-kood se sehat achhi rehti hai. bible is baat ko maanti hai ki ‘shareer ki kasrat faaydemand hoti hai.’ (1 timuthiyus 4:8) ryan naam ka ek javan aadmi kehta hai, “khel-kood se hum chust-durust reh sakte hain. ghar mein baithe-baithe video game khelne se to achha hai ki hum baahar jaakar kuch khelein.”

khel khelne se hum doosron ke saath milkar kaam karna aur khud par sanyam rakhna seekhte hain. bible mein ek khel ke baare mein bataya gaya hai jisse hamein achhi seekh milti hai. yah batati hai, “daud mein daudnevale sabhi daudte hain, magar inam ek hi ko milta hai.” iske baad yah batati hai, “pratiyogita mein hissa lenevala har aadmi sab baaton mein sanyam se kaam leta hai.” (1 kurinthiyon 9:24, 25) isse hum kya seekhte hain? yahi ki niyam ke mutabik koi khel khelne ke liye sanyam hona aur doosron ke saath milkar khelna bhi zaroori hai. abigail naam ki ek javan ladki bhi is baat se sahmat hai. woh kehti hai, “khel-kood se mainne seekha ki kaise doosron ke saath milkar kaam karein aur unse khulkar baat karein.”

khel mein hissa lene se hum dost bana paate hain. isse log ek-doosre ke kareeb aate hain. jordan naam ka ek javan ladka kehta hai, “dekha jaaye to sabhi kism ke khel se hod ki bhaavna paida hoti hai. lekin agar aap sirf maze ke liye koi khel khelein to achhe dost bana paayenge.”

 ismein kya khatre chhipe hain?

aap kya khel khelte hain. bible batati hai, “yahova bhale v bure logon ko parakhta hai, aur woh un logon se ghrina karta hai, jo hinsa se preeti rakhte hain.”—bhajan 11:5, hindi easy-to-read version.

kuch khel hinsa se bhare hote hain. lauren naam ki ek ladki kehti hai, “boxing ka poora khel to yahi hai ki saamnevale ko maarna. maseehi hone ke naate hum ladte nahin hain to fir hum aise khel ka maza kyon lein jismein doosron ko laat-ghoonse maare jaate hain?”

zara sochiye: kya aapne kabhi hinsa se bhara koi khel dekha ya khela hai aur yah socha hai ki main sachmuch mein aisi hinsa nahin karoonga? agar haan, to yaad rakhiye ki bhajan 11:5 mein kya bataya gaya hai. yahova unse nafrat karta hai jo na sirf hinsa karte hain balki hinsa se preeti  rakhte hain.”

aap kis tarah khelte hain. bible batati hai, “jhagdaloopan ya ahankar ki vajah se kuch na karo, magar man ki deenta ke saath doosron ko khud se behtar samjho.”—filippiyon 2:3.

beshak koi bhi khel jismein do team shaamil ho, vahaan thodi-bahot hod ki bhaavna paida ho hi jaati hai. lekin har haal mein jeetne ka junoon khel ka maza kharab kar deta hai. brian naam ka ek javan ladka kehta hai, “aapmein hod ki bhaavna bahot jaldi aa sakti hai. aap kisi khel mein jitne achhe honge, utna hi aapko namra hone ki zaroorat hai.”

zara sochiye: kris naam ka ek javan aadmi kehta hai, “hum har hafte football khelte hain aur hamein kai baar chot lagi hai.” isliye khud se poochhiye, ‘chot lagne ki kya vajah ho sakti hai? main kya kar sakta hoon jisse ki chot lagne ka khatra na ho?’

aap kitna khelte hain? bible batati hai, “tum pehchan sako ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hain.”—filippiyon 1:10.

aapko pehchanna hoga ki zindagi mein sabse zaroori baatein kya honi chahiye aur yahova ki seva sabse pehli jagah par aani chahiye. kai khel aise hote hain jinhein khelne ya dekhne mein ghanton lag jaate hain. daria naam ki ek javan ladki kehti hai, “mammi se mera jhagda aksar is baat par hota tha ki main t.v. par khel dekhne mein ghanton bita deti thi jabki main us samay ka aur bhi achha istemal kar sakti thi.”

khel-kood par bahot zyada dhyan dena aisa hai jaise aap khaane mein bahot zyada namak daal rahe hon

zara sochiye: jab mammi-paapa aapko salah dete hain ki aapko kin baaton ko zindagi mein pehli jagah deni chahiye, to kya aap unki sunte hain? trina naam ki ek javan ladki kehti hai, “jab main aur mere bhaai-behen khel dekhte the aur doosre zaroori kaam nahin karte the, to mammi hamse kehti thi, ‘khiladiyon ko to khelne ke paise mil hi jaayenge fir chahe tum unke khel dekho ya na dekho. lekin tumhein kaun paise dega?’ mammi ke kehne ka matlab tha: khiladiyon ke paas to naukri hai. lekin agar hum apna homework nahin kareinge aur doosri zimmedariyaan nahin nibhayenge, to bhavishya mein apna guzara karne ke liye hamein kaun naukri dega? darasal mammi hamein sikhana chahti thi ki khel dekhna ya khelna hamari zindagi mein sabse zaroori nahin hona chahiye.”