is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

satark rahiye!

ukraine mein yuddh ki vajah se jagah-jagah pade khaane ke laale

ukraine mein yuddh ki vajah se jagah-jagah pade khaane ke laale

 19 mai, 2022 ko sanyukt raashtra ki suraksha parishad ki ek baithak mein 75 bade-bade adhikariyon ne bataya ki “duniya mein khaane ki kami to pehale se chal rahi thi, lekin covid-19 mahamari aur mausam mein ho rahe bade-bade badlavon ki vajah se haalaat aur bigaad gaye aur ab ukraine mein chal rahe yuddh ki vajah se kai jagah akaal ki kagar par hain.” do din baad, the economist naam ki patrika mein yah chhaapa gaya, “haalaat pehale se hi naazuk the, ab is yuddh ke chalte laakhon logon par bhukhmari ka khatra bhi mandra raha hai.” bible mein pehale se bataya gaya tha ki is tarah ke akaal padeinge, khaane ki kami hogi. par usmein yah bhi bataya gaya hai ki aise mein hum kya kar sakte hain.

bible mein pehale se bataya gaya tha ki bhukhmari hogi

  •    yeeshu ne bataya tha ki aisa vakt aayega jab “ek raashtra doosre raashtra par aur ek raajya doosre raajya par hamla karega. ek-ke-baad-ek kai jagah akaal padeinge.”—matti 24:7.

  •    bible mein chaar ghudsavaaron ke baare mein bataya gaya hai, jo alag-alag baaton ko darshate hain. unmein se ek ghudsavaar yuddh ko darshata hai. uske peechhe ek aur ghudsavaar hai jo akaal ko darshata hai, yaani ek aise samay ko jab khaana bahot mushkil se milega aur mehangai aasman chhoo jaayegi. bible mein likha hai, ‘dekho mainne kya dekha! ek kaala ghoda aur uske savaar ke haath mein ek tarazoo tha. aur mujhe kuch aisa sunayi pada, “ek din ki mazdoori ke badle mein ek kilo gehoon aur ek din ki mazdoori ke badle mein teen kilo jau.”’—prakashitvakya 6:5, 6, fu.

 bible mein akaal ke baare mein jo likha gaya tha, woh aaj poora ho raha hai. aaj hum jis mushkil-bhare vakt mein ji rahe hain, use bible mein ‘aakhiri din’ kaha gaya hai. (2 timuthiyus 3:1) “aakhiri dinon” aur un chaar ghudsavaaron ke baare mein aur jaanne ke liye 1914 se duniya badal gayi video dekhein aur “chaar ghudsavaar—ye kaun hain?” lekh padhein.

bible se mile salah aur aasha

  •    bible mein kai vishyon par achhi salah di gayi hai. ise maanne se hum badhti mehangai aur khaane-peene ki kami jaisi kai mushkilon ka saamna kar sakte hain. “kam paison mein kaise karein guzara?” lekh mein aise kai achhe sujhav diye gaye hain.

  •    bible mein yah bhi bataya gaya hai ki aanevala kal achha hoga. ismein likha hai ki “dharti par bahotayat mein anaj hoga” aur kisi ko khaane ki kami nahin hogi. (bhajan 72:16) parmeshvar ne hamein khushhal zindagi dene ka vaada kiya hai. woh zindagi kaisi hogi? kya sach mein takaleefein mit jaaayengi? in savalon ke javab jaanne ke liye “aanevala kal sunhara hoga!” lekh padhiye.