yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 16:1-21

  • parmeshvar ke krodh ke saat katore undele gaye (1-21)

    • dharti par (2), samundar par (3), nadiyon aur paani ke soton par (4-7), sooraj par (8, 9), jangli jaanvar ki raajgaddi par (10, 11), farat par (12-16) aur hava par (17-21)

    • har-magidon mein parmeshvar ka yuddh (14, 16)

16  fir mainne pavitra-sthan mein se ek zordar aavaz suni+ jo saat swargdooton se kah rahi thi, “jaao aur parmeshvar ke krodh ke saat katore dharti par undel do.”+  pehala swargdoot gaya aur usne apna katora dharti par undela.+ aur jin logon par jangli jaanvar ka nishan tha+ aur jo uski moorat ki pooja kar rahe the,+ woh ek dardnak aur bhayanak fode se peedit huye.+  doosre swargdoot ne apna katora samundar par undela.+ aur samundar mare huye insan ke khoon jaisa ho gaya+ aur samundar ka har prani, haan, sabhi jeev mar gaye.+  teesre swargdoot ne apna katora nadiyon aur paani ke soton par undela.+ tab woh khoon mein badal gaye.+  jis swargdoot ko paani par adhikar tha use mainne yah kehte huye suna, “hey vafadar parmeshvar,+ tu jo tha aur jo hai,+ tu nek hai kyonki toone ye faisle sunakar nyay kiya hai,+  kyonki unhonne pavitra janon aur bhavishyavaktaon ka khoon bahaya tha.+ toone unhein peene ke liye khoon diya hai.+ woh isi laayak hain.”+  aur mainne vedi ko yah kehte suna, “hey sarvashaktiman parmeshvar yahova,*+ tere faisle* vaakai nek aur sachche hain.”+  chauthe swargdoot ne apna katora sooraj par undela.+ aur sooraj ko yah adhikar diya gaya ki woh logon ko aag se jhulsa de.  log bhayankar garmi se jhulas gaye fir bhi unhonne us parmeshvar ke naam ki ninda ki, jise har kehar par adhikar hai. unhonne pashchatap nahin kiya aur uski mahima nahin ki. 10  paanchvein swargdoot ne apna katora jangli jaanvar ki raajgaddi par undela. aur uska raaj andhkar se bhar gaya+ aur log dard ke maare apni jeebh kaatne lage. 11  unhonne dard aur fodon ki vajah se swarg ke parmeshvar ki ninda ki aur apne kaamon se pashchatap nahin kiya. 12  chhathe swargdoot ne apna katora mahanadi farat par undela+ aur uska paani sookh gaya+ taaki poorab se aanevale raajaon ke liye raasta taiyar kare.+ 13  aur mainne dekha ki ajgar,+ jangli jaanvar aur jhoothe bhavishyavakta ke munh se teen ashuddh prerit vachan nikaal rahe the jo meindhakon jaise dikh rahe the. 14  darasal ye dusht swargdooton ki prerna se kahe gaye vachan hain aur ye chamatkar karte hain+ aur saare jagat ke raajaon ke paas jaate hain ki unhein sarvashaktiman parmeshvar ke mahan din+ ke yuddh ke liye ikattha karein.+ 15  “dekh! main ek chor ki tarah aa raha hoon.+ sukhi hai woh jo jaagta rehta hai+ aur apne kapdon ki chauksi karta hai taaki woh nanga na fire aur log uski sharmnak haalaat na dekhein.”+ 16  aur unhonne raajaon ko us jagah ikattha kiya jo ibrani bhasha mein har-magidon* kehlati hai.+ 17  saatvein swargdoot ne apna katora hava par undela. tab pavitra-sthan se, raajgaddi se ek zordar aavaz nikli+ jo kah rahi thi, “poora ho gaya!” 18  aur bijliyaan kaundhin, zordar aavazen aayin, garjan hua aur aisa zabardast aur bhayanak bhookamp hua jaisa dharti par insan ke aane se lekar ab tak kabhi nahin hua tha.+ 19  us mahanagri+ ke tootkar teen hisse ho gaye aur raashtron ke shehar tabah ho gaye. aur mahanagri baibilon+ ko parmeshvar ne yaad kiya taaki use apne gusse aur jaljalahat ki madira se bhara pyala de.+ 20  saath hi, harek dveep bhaag gaya aur pahad laapta ho gaye.+ 21  fir aakash se logon par bade-bade ole gire aur har ole ka vazan kareeb 20 kilo* tha.+ is kehar ki vajah se logon ne parmeshvar ki ninda ki+ kyonki is kehar ne bahot zyada tabahi machayi.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
ya “nyay-siddhant.”
yah shabd ek ibrani shabd se nikala hai jiska matlab hai “magiddo pahad.”
ek yoonani toda. ati. kha14 dekhein.